Tuesday, December 30, 2008

Gungunati Hai Hawa Phool Khile Deep Jale

KALAAM-E-MOHABBAT (ALBUM)


Gungunati Hai Hawa Phool Khile Deep Jale
Hans Padi Raat Mahekte Huye Aanchal Ke Tale

Yun Tamannaayein Chamak Uthati Hain Dil Mein Jaise
Chehra-E-Waqt Pe Rah Rah Ke Koyi Haath Male

Bach Ke Taaron Ki Nigaahon Se Gulon Se Chhup Kar
Do Nigaahon Ki Mulakaat Huyi Raat Dhale

Rang-O-Kushboo Se Chhalakane Laga Mayakaanaa-E-Dil
Saaqiya Jaam Chale Jaam Chale Jaam Chale

Aaj Darshan Naye Andaaz Se Hai Garm-E-Nava
Uski Aawaaz Se Nagmon Ke Nay Deep Jale

Dil Apna Maykashi Ka Talabgaar Bhi Nahin

KALAAM-E-MOHABBAT (ALBUM)


Dil Apna Maykashi Ka Talabgaar Bhi Nahin
Haan Wo Agar Pilaayein To Inkaar Bhi Nahin

Ahad-E-Wafa Ki Subaho Ka Kya Zikr Dosto
Ahad-E-Wafa Ki Subaho Ke Aasaar Bhi Nahin

Suna Pada Hai Der Se Mayakhaanaa-E-Wafa
Saaqi Ka Zikr Kya Koyi Mayakaar Bhi Nahin

Gulashan Ujaad Ho Gaya Duniya Badal Gayi
Kya Dhundhte Ho Gul Ke Yahaan Kaar Bhi Nahin

Darshan Na Poochho Zulmat-E-Duniyaa-E-Aashiqi
Koyi Charaag Ab To Sar-E-Daar Bhi Nahin

Daulat Mili Jahaan Ki Naam-O-Nishaan Mile

KALAAM-E-MOHABBAT (ALBUM)


Daulat Mili Jahaan Ki Naam-O-Nishaan Mile
Sab Kuchh Mila Humein Na Magar Meharbaan Mile

Humako Khushi Mili Bhi To Bas Aarizi Mili
Lekin Jo Gham Mile Wo Gam-E-Jaawidaan Mile

Phir Kyun Kare Talaash Koyi Aur Aastaan
Wo Kushanasib Jisko Tera Aasataan Mile

Nazarein Talaash Karti Rahin Jinko Umr Bhar
Darshan Ko Wo Sukun Ke Lamhe Kahaan Mile

Poochhta Ja Mere Marakaz Se Guzarne Waale

Poochhta Ja Mere Marakaz Se Guzarne Waale
Kya Guzarti Hai Teri Jaan Pe Marne Waale

Yahi Iqaraar Yahi Kaul Yahi Waada Tha
O Dagaabaaz Har Ek Baar Muqarne Waale

Aap Mahashar Mein Bane Kaul Ke Sachche Kya Khoob
Ungaliyaan Utthengi Wo Haay Muqarane Waale

Daag Kehte Hain Jinhein Dekhiye Wo Baithe Hain
Aapki Jaan Pe Har Raat Ke Marne Waale

Yaadon Ki Baaraat Chali Hai

GHULAM ALI (ALBUM)


Yaadon Ki Baaraat Chali Hai
Aa Bhi Jaao Raat Chali Hai

Zabt Ka Daaman Chhuta Aise
Aankhon Se Barasaat Chali Hai

Kehate Hain Phir Laut Na Aana
Kuchh To Aage Baat Chali Hai

Wo Jis Raste Se Bhi Guzare
Saari Duniya Saath Chali Hai

Kaash Wo Aur Abhi Ruk Jaayein
Baat Adhuri Raat Chali Hai

Haal Kisse Bayaan Karein Dil Ka

HASEEN LAMHEN 5 (ALBUM)


haal kisse bayaan karein dil ka
mehar meraaj hi nahin milta

koh-e-barfin pe dhoop ka aalam
aab-zu mein kanwal nazzaara

lab pe afasun nazar mein afasaane
dilruba jism soch mein duuba

gaaliri khoobsurati ke na git
har sadaf mein gauhar nahin hata

Thi Wasl Mein Bhi Fikr-E-Judaayi Tamaam Shab

HASEEN LAMHEN 5 (ALBUM)


thi wasl mein bhi fikr-e-judaayi tamaam shab
wo aaye bhi to neend na aayi tamaam shab

yak baar dekhte hi mujhe gash jo aa gaya
bhoole the wo bhi hosh-rubaayi tamaam shab

mar jaate kuun na subaho ke hote hi hijr mein
takalif kaisi kaisi uthaayi tamaam shab

garm-e-jawaab-e-shikawaa-e-jaur-e-udu raha
us sholaa-bu ne jaan jalaayi tamaam shab

' momin' main apane naalon ke sadaqe ke kahate hain
unako bhi aaj nind na aayi tamaam shab

Wo Kabhi Mil Jaayein To Kya Kijiye

ALBUM:ENCHANTING HOUR


wo kabhi mil jaayein to kya kijiye
raat din surat ko dekha kijiye

chaandni raaton mein ik ik phool ko
bekudi kehti hai sajada kijiye

jo tamannaabar na aaye umr bhar
umr bhar uski tamanna kijiye

ishq ki ranginiyon mein doob kar
chaandni raaton mein roya kijiye

hum hi uske ishq ke qaabil na the
kyun kisi zaalim ka shikwa kijiye

Chupke Chupke Raat Din

ALBUM:NIKAAH



Oh oh oh, aah aah, oh oh oh, oh ho ho
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai - 2
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Khench le na voh mera parde ka kona daffatan - 2
Aur dupatte se tera voh munh chhupaana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Do paher ki dhoop mein mere bulaane ke liye - 2
Voh tera kothe pe nange paaon aana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Hm mm mm hm, aah aah, mm mm mm mm, mm mm mm hm mm

KaAhe Banao Jhoothi Batiyaan Humse

ALBUM:GHAZALS


kaahe banaao jhoothi batiyaan humse
main to jeeti hoon tore dam se

sautan ki galiyaan tum ho aaye
akhiyaan tori bhed bataaye
main to mar gayi tore gam se

humse saiyaan door na jaao
is birhan ko yoon na sataao
hamara naata janam janam se

huzoor jaaiye gairon ke mehamaan rahiye
mizaaj chaahe jahaan aapaka wahaan rahiye

Ranj Ki Jab Guftagoo Hone Lagi

LAMHEN 5 (ALBUM)



ranj ki jab guftagoo hone lagi
aap se tum tum se tu hone lagi

chaahiye paigaam bar donon taraf
lutf kya jab duu-ba-du hone lagi

meri ruswaayi ki naubat aa gayi
unki shoharat kuu-ba-ku hone lagi

naa-umidi badh gayi hai is kadar
aarazoo ki aarazoo hone lagi

abke mil kar dekhiye kya rang ho
phir hamaari justaju hone lagi

' daag' itaraaye huye phirate hain aaj
shaayad unki aabaroo hone lagi

Tum Bin Na Aawe Na Chain

ALBUM:GHAZALS


tum bin aawe na chain
re sanwariya re

dekh na loon tohe jiya nahi laage
mohe sooni laage rain
sanwariya

preetam preet laga ke door des mat ja
baso hamaari naagari ham maange tu kha

kaaga sab tan khaaiyo mora chun chun khaaiyo maas re
do naina mat khaaiyo mohe piya milan ki aas re

Jab Tasawwur Mera Chupke Se

HASEEN LAMHE (ALBUM)


jab tasawwur mera chupke se tujhe chhoo aaye
apni har saans se mujhko teri kushboo aaye

mashagala ab hai mera chaand ko takte rehna
raat bhar chain na tujh bin kisi pehlu aaye

ghantiyaan bajne lageen hijr ke sannaate se
gunagunaata hua aaise mein agar tu aaye

jab kabhi gardish-e-dauraan ne sataaya mujhko
meri jaanib tere phaile huye baazu aaye

Jahaan Talak Bhi Ye Sahara

SAADGI - ALBUM


jahaan talak bhi ye sahara dikhayi deta hai
meri hi tarah se akela dikhayi deta hai

na itni tez chale sarphiri hawa se kaho
shajar pe ek hi patta dikhaai deta hai

ye ek abr ka tukda kahaan kahaan barse
tamaam dasht hi pyaasa dikhaai deta hai

wo alvida ka manzar wo chhalakti palaken
pas-e-gubaar bhi kya kya dikhayi deta hai

Abra Barsa Na Hawa

SAADGI - ALBUM



abr barasa na hawa tez chali hai abke
kitni weeraan teri yaadon ki gali hai abke

kya kahun kitne bahaanon se bhulaaya hai use
ye qayaamat badi mushkil se tali hai abke

ya meri aankh ke kashkol mein aansu chamka
ya andhere mein koi shamma jali hai abke

kisko fursat hai dhuwaan dekhane jaaye mohasin
jhopadi shaher se kuch door jali hai abke

Ek Lamha Maikade

ALBUM:GHAZALS



ek lamha maykade mein jo hum log aa gaye
kuch baat-cheet kar gaye kuch hans-hans gaye

ab is mein apni surat-e-raana na dekhiye
ab dil ke aaine mein kahi baar aa gaye

dam le ke ek lamha chale jaayenge faqeer
sunke tumhaare kuld ki taareef aa gaye

kitne haseen log the jo mil ke ek baar
aankhon mein jazb ho gaye dil mein sama gaye

Ruk Gaya Aankh Se

ALBUM:ONCE MORE - GHULAM ALI


ruk gaya aankh se behta hua dariya kaise
gHam ka toofaan to bahut tez tha thehra kaise

mujhko kud par bhi bharosa hone paata
log kar lete hain gairon pe bharosa kaise

har ghadi tere kayaalon mein ghira rehta hoon
milna chaahoon to milun kud se main tanha kaise

aur bhi ahal-e-khirad ahal-e-junoon the maujood
lut gaye hum hi teri bazm mein tanha kaise

Gairon Se Ab Suna Karo Nagmein Bahaar Ke

GHULAM ALI (ALBUM)



gairon se ab suna karo nagmein bahaar ke
hum to chale mataa-e-dil-o-jaan haar ke

baad-e-sahar ne jab tere aane ki di navid
murjhaaye phool khil uthe mere mazaar ke

aksar usi pe ja ke giri bark-e-be-amaan
turage buland ho gaye jis shaakasaar ke

jalane ko dil to de diya dil ko zabaan na di
dekhe hain humne hausale parwaradigaar ke

suraj ki dhoop bhi inhein shaayad hi dho sake
jo haashiye ufaq pe hain dard-o-gubaar ke

Humne Hasraton Ke Daag

ALBUM:GHAZALS


humne hasraton ke daag aansuon se dho liye
aapki khushi huzor boliye na boliye

kya haseen kaar the jo meri nigaah ne
saadagi se baaraha rooh mein chubho liye

mausam-e-bahaar hai ambareen khumaar hai
kiska intazaar hai kesuon ko kholiye

zindagi ka raasta kaatana to tha ' adam'
jaag uthe to chal diye thak gaye to so liye

Ek Pagli Mera Naam

HASEEN LAMHE (ALBUM)


ek pagli mera naam jo le sharmaye bhi ghabraye bhi
galiyon galiyon mujhse milane aaye bhi ghabaraye bhi

raat gaye ghar jaane waali gumsum ladki raahon mein
apni uljhi zulfon ko sulajhaye bhi ghabraye bhi

kaun bichhad kar phir lautega kyon aawaara firte ho
raaton ko ek chaand mujhe samajhaye bhi ghabraye bhi

aane waali rut ka kitna kauf hai uski aankhon mein
jaane wala door se haath hilaaye bhi ghabraye bhi

Yeh Dil Ye Paagal

Album:MAATI MAANGE KHOON


ye dil ye pagal dil mera kyon bujh gaya aawargi
is dasht mein ik shahar tha vo kya hua aawargi

kal shab mujhe be-shakl si aawaaz ne chaunka diya
main ne kaha tu kaun hai usne kahaa aawargi

ik ajnabi jhonke ne jab poocha mere gham ka sabab
sahara ki bheegi ret par main ne likha aawargi

Kuchh Yaadgaar-E-Shaher-E-Aitamagar Hi Le Chalein

HASEEN LAMHEN 5 (ALBUM)


kuchh yaadgaar-e-shaher-e-sitamagar hi le chalein
aaye hain is gali mein to patthar hi le chalein

ranj-e-safar ki koyi nishaani to paas ho
thodi si kkaak-e-kuuchaa-e-dilabar hi le chalein

yun kis tarah katega kadi dhoop ka safar
sar par kayaal-e-yaar ki chaadar hi le chalein

ye kah ke chhedati hai humein dil-giraftagi
ghabara rahe hain aap to baahar hi le chalein

is shaher-e-be-charaag mein jaayegi tu kahaan
aa ai shab-e-firaaq tujhe ghar hi le chalein

Itni Muddat Baad Mile ho

ALBUM:AAWARGI



Itni muddat baad mile ho
Kin sochon mein gum rahte ho

Tej hawaa ne mujhse poochha
Ret pe kya likhte rehte ho

Kaunsi baat hai tumme aaise
Itni achchi kyun lagte ho

Humse na pucho hizr kisse
Apni kaho, ab tum kaise ho.

Ek HUmein Aawara Kehna

ALBUM:ONCE MORE - GHULAM ALI


ek humein aawaara kehna koi bada ilzaam nahi
duniya waale dil waalon ko aur bahut kuch kehate hain

wohi mizaaz wohi chaal hai zamaane ki
humein bhi ho gai aadat fareb khaane ki

main saare shaher mein tanha nahi hua ruswa
saza mili hai tumhen bhi to dil lagaane ki

sharaab milti hai lekin hamaari pyaas se kam
ajeeb rasm hai saaqi yahaan pilaane ki

nazar bacha ke tumhen dekhta hoon mehfil mein
nazar lage na kahin tumako is deewaane ki

Chamakte Chaand Ko

ALBUM:AWAARGI


huuun huuuum aaaa aaa-2

(chamakte chand ko
chamakte chand ko toota hua tara bana dala X2
meri aawargi ne mujhko aawara bana dala
chamakte)-2

huuun huuuum aaaa aaa-2

bada dilkash bada rangeen hai yeh shehar kehte hain X 2
yahan par hain hazaron ghar gharon mein log rehte hain
mujhe is shehar ne galiyon ka banjara bana dala
chamakte chand...

main is duniya ko aksar dekh kar hairaan hota hoon X 2
na mujhse ban saka chhota saghar,din raat rota hoon
khudaya tune kaise ye jahan sara bana dala
chamakte chand...

mere malik, mera dil kyun tadapta hai, sulagta hai X 2
teri marzi , teri marzi pe kiska zor chalta hai
kisi ko gul, kisi ko tune angara bana dala
chamakte chand...

yehi aagaz tha mera, yehi anjam hona tha X 2
mujhe barbaad hona tha, mujhe nakaam hona tha
mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala
chamakte chand...

Kehte Hain Mujhse Ishq Ka Afasana Chaahiye

ALBUM:ENCHANTING HOUR


kehte hain mujhse ishq ka afasana chahiye
rusvaayi ho gayi tumhein sharmana chahiye

khuddaar itani fitarat-e-rindaana chahiye
saaqi ye kud kahe tujhe paimaana chahiye

aashiq bagair husn-o-jawaani fuzuul hai
jab shamma jal gayi hai to parawana chahiye

aankhon mein dam ruka hai kisi ke liye zurur
warana mariz-e-hijr ko mar jaana chahiye

vaada tha unke raat ke aane ka ai ' qamar'
ab chaand chhup gaya unhein aa jaana chahiye

Woh Kabhi Mil Jaaye To

ALBUM:A JOURNEY



Woh Kabhi Mil Jaye To, Kya Kijiye,
Raat Din Surat Ko Dekha Kijiye.

Chaadni Raaton Mein, Ek Ek Phool Ko,
Bekhudi Kehte Hai, Sajda Kijiye.

Jo Tamanna Bor Na Aye, Umra Bhar,
Umra Bhar Uski Tamanna Kijiye.

Isk-Ki Ranginio Mein, Dub Kar,
Chaadni Raaton Mein Roya Kijiye.

Hum Hi Uske Ishq Ke Kaabil Na The,
Kyun Kisi Zaalim Ka Sikwa Kijiye.

Apni Dhoon Mein Rehta Hoon

ALBUM:GHAZALS



Apni dhoon mein rehta hoon -2
mein bhi tere jaisa hoon,
Apni dhoon mein rehta hoon -2
mein bhi tere jaisa hoon,

O pecchli rut ke saathi -2
Abki Baras mei tanha hoon,
Apni dhoon mein rehta hoon -2
mein bhi tere jaIsa hoon,

tayri gali mei sara din -2
dukhe ke kankar chunta hoon
Apni dhoon mein rehta hoon -2
mein bhi tere jaisa hoon,

mera diya jalaye kuan -2
mei tera khali kamra hoon,
Apni dhoon mein rehta hoon -2
mein bhi tere jaisa hoon,

Apni leher hai apna rooga-2
dariya hoon aur pyasaa hoon,
Apni dhoon mein rehta hoon -2
mein bhi tere jaisa hoon,

Aati rut mujhe rooyegi -2
jaati rut ka jhooka hoon'
Apni dhoon mein rehta hoon -2
mein bhi tere jaisa hoon,

Dilwaalon Kya Dekh Rahe Ho In Raahon Mein

HASEEN LAMHEN 5 (ALBUM)



dilwaalon kya dekh rahe ho in raahon mein, in raahon mein
hadd-e-nazar tak ye viraani saath chalegi, saath chalegi

sannaate phir shama ke aansu chaat rahe hain, chaat rahe hain
ye basti jo ujad gayi hai ab na basegi, ab na basegi

ghar ke andar saare jangal ka sannaata, sannaata
shaam huyi to is jangal mein hawa chalegi, hawa chalegi

jinke haathon dil ki ye tauhin huyi hai, tauhin huyi hai
unke liye bhi ye duniya aisi na rahegi, aisi na rahegi

' razi' miyaan tum shaam se kaise chup baithe ho, chup baithe ho
kuchh to bolo aisi chup se baat badhegi, baat badhegi

Bin Baarish Barasaat Na Hogi

GHULAM ALI (ALBUM)


bin baarish barsaat na hogi
raat gayi to raat na hogi

raaz-e-mohabbat tum mat puuchho
mujhse to ye baat na hogi

kisase dil bahalaaoge tum
jis dam meri zaat na hogi

ashq bhi ab naafaid huye hain
shaayad ab barasaat na hogi

yun dekhenge ' aarif' usko
bich mein apani zaat na hogi
ALBUM:GHAZALS


na jaane kab wo palat aayen dar khula rakhna
gaye huwon ke liye dil mein kuch jagah rakhna

hazaar talk hon yaaden magar wo jab bhi milen
zubaan pe achchhe dinon ka hi zaayaka rakhna

na ho ke kurb hi phir marg-e-rabt ban jaaye
mile agar to zara usse faasla rakhana

utaar phaink de kush-fahamiyon ke saare gilaaf
jo shaks bhool gaya usko yaad kya rakhna

Kaun Hai Jisne Mai Nahi Chakhi

ALBUM:GHAZALS



kaun hai jisne may nahi chakkhi
kaun jhoothi qasam uthaata hai
mayakade se jo bach nikalta hai
teri aankhon mein doob jaata hai

hum tumhen aisi pila denge tum aao to sahi
hosh ka naam bhula denge tum aao to sahi

jaam botal se bharo aur laga lo munh se
tumko peena bhi sikha denge tum aao to sahi

aaj kal roz hai mayakaane mein aana jaana
tumko saaqi se mila denge tum aao to sahi

kya kaha gham ne sata rakha hai toba toba
gam ko thodi si pila denge tum aao to sahi

Jabse Tune Mujhe Deewana

ALBUM:GHAZALS


jabse tune mujhe deewaana bana rakha hai
sang har shaks ne haathon mein utha rakha hai

uske dil par bhi kadi ishq mein guzari hogi
naam jisne bhi muhabbat ka sazaa rakha hai

pattharon aaj mere sar pe baraste kyon ho
maine tujhko bhi kabhi apna khuda rakha hai

ab mere deed ki duniya bhi tamaashaai hai
tUne kya mujhko mohabbat mein bana rakha hai

Dekhkar Dilkashi Zamane Ki

ALBUM:GHAZALS


dekhkar dilkashi zamaane ki
aarzu hai fareb khaane ki

aye gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujhko aadat hai muskuraane ki

zulmaton se na dar ke raste mein
roshni hai sharaabkhane ki

as tere kesuon ko pyaar karu
raat hai mashalen jalaane ki

Baalam Mohe Chhod Ke

SHEESH MAHAL (ALBUM)

baalam mohe chhod ke na ja
main tose binti karat hoon

tum bin saajan kachhu naahin bhaaye
bin dekhe tohe chain na aaye
soonaapan mohe det daraave

Baagon Mein Pade Jhoole

SHEESH MAHAL (ALBUM)


baagon mein pade jhoole
tum bhool gaye humko hum tumko nahi bhoole

ye raks sitaaron ka
sun lo kabhi afsaana taqdeer ke maaron ka

saawan ka maheena hai
saajan se juda rah kar jeena bhi kya jeena hai

raavi ka kinaara hai
har mauj ke honthon par afsaana hamaara hai

ab aur na tadapaao
ya humko bula bhejo ya aap chale aao

Iska Rona Nahi

ONCE MORE - GHULAM ALI


iska rona nahi kyon tumne kiya dil barabaad
iska gham hai ki bahut der se barabaad kiya

shaam ke saanwale chehre ko nikhara jaaye
kyon na saagar mein koi chaand ubhaara jaaye

raas aaya nahi taskeen ka saahil koi
phir mujhe pyaas ke dariya mein utaara jaaye

meharbaan teri nazar teri adaayen qaatil
tujhko kis naam se ai dost pukaara jaaye

Kuchh Soch Raha Hoon

ALBUM:GHAZALS


khaali hai abhi jaam main kuch soch raha hoon
aye gardish-e-ayyaam main kuch soch raha hoon

saaqi tujhe ek thodi si takleef to hogi
saagar ko zara thaam main kuch soch raha hoon

pehle badi ragbat thi tere naam se mujhko
ab sunke tera naam main kuch soch raha hoon

phir aaj ' adam' shaam se gamageen hai tabeeyat
phir aaj sar-e-shaam main kuch soch raha hoon

Yeh Dil Yeh Paagal

ALBUM:GHAZALS


ye dil ye pagal dil mera kyon bujh gaya aawargi
is dasht mein ik shahar tha vo kya hua aawargi

kal shab mujhe be-shakl si aawaaz ne chaunka diya
main ne kaha tu kaun hai usne kahaa aawargi

ik ajnabi jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab
sahara ki bheegi ret par main ne likha aawargi

Jinke Honthon Pe Hansi Paanv Mein Chhaale Honge

HASEEN LAMHEN 5 (ALBUM)



kya bemurawwat kalq hai sab jama hain bismil ke paas
tanha mera qaatil raha koyi nahin qaatil ke paas

jinke honthon pe hansi paanv mein chhaale honge
haan wohi log tumhein dhuundhane waale honge

haan wohi log tujhe chaahne waale honge
andaaz apne dekhate hain aayine mein wo
aur ye bhi dekhte hain koyi dekhta na ho

may barasati hai fazaaon pe nasha taari hai
mere saaqi ne kahin jaam uchhaale honge

unse mafahuum-e-gham-e-zist ada ho shaayad
ashq jo daaman-e-mijagaan ne sambhaale honge

shamma le aaye hain ham jalwaagah-e-jaanaan se
ab do aalam mein ujaale hi ujaale honge

hum bade naaz se aaye the teri mehafil mein
kya khabar thi lab-e-izahaar pr taale honge

Zakm-E-Tanhaayi Mein Khusboo-E-Hina Kiski Thi

ALBUM:ENCHANTING HOUR



zakm-e-tanhaayi mein khushboo-e-hina kiski thi
saaya diwaar pe mera tha sada kiski thi

aansuon se hi sahi bhar gaya daaman mera
haath to maine uthaaye the duwa kiski thi

meri aahon ki zabaan koyi samajhata kaise
zindagi itani dukhi mere siva kisaki thi

chhod di kiske liye tune ' muzaffar' duniya
justazu si tujhe har waqt bata kisaki thi

usaki raftaar mein lipti rahin meri aankhein
usne mudh kar bhi na dekha ki wafa kiski thi

waqt ki tarah dabe paanv ye kaun aaya hai
main andhera jise samajha wo qaba kiski thi

aag se dosti uski thi jala ghar mera
di gayi kisko saza aur kata kiski thi

maine binaayiyaan bokar bhi andhere kaate
kiske bas mein thi zamin aab-o-hawa kiski thi

Kab Banke Bikharti Jaati Hai

GHAZALS



kab banke bikharati jaati hai
raat dil mein utarati jaati hai

rang kisake chura liye usne
roz-o-shab wo nikharati jaati hai

aa ke ummeed mein jala ke charaag
aaj to wo sanwarati jaati hai

aa gaya wo to umr bhar ki thakan
jaise pal mein utarti jaati hai

Unpe Kuchh Is Tarah Pyaar Aane Laga

GHULAM ALI (ALBUM)


unpe kuchh is tarah pyaar aane laga
beqaraari ko qaraar aane laga

is kadar bakshe mujhe gam aapne
meri kushiyon par nikhaar aane laga

zikr tha mere fasaane ka magar
naam unka baar baar aane laga

zist afasurda thi bemaani na thi
apane aramaanon pe pyaar aane laga

jaanib-e-kaaba hai ruk ' aarif' ka aaj
suu-e-zamazam baadaakaar aane laga

Hamne Hasrato Ke Daag

HASEEN LAMHE (ALBUM


humne hasraton ke daag aansuon se dho liye
aapki khushi huzuur boliye na boliye

kya haseen kaar the jo meri nigaah ne
saadagi se baaraha rooh mein chubho liye

mausam-e-bahaar hai ambareen khumaar hai
kiska intazaar hai kesuon ko kholiye

zindagi ka raasta kaatana to tha ' adam'
jaag uthe to chal diye thak gaye to so liye

Apani Tasvir Ko Aankhon Se Lagaata Kya Hai

ALBUM :ENCHANTING HOUR


apani tasvir ko aankhon se lagaata kya hai
ik nazar meri taraf bhi tera jaata kya hai

meri rusvaayi mein wo bhi hain baraabar ke shariq
mere qisse mere yaaron ko sunaata kya hai

paas rah kar bhi na pchchaan saka tu mujhko
duur se dekh ke ab haath hilaata kya hai

umr bhar apane girebaan se ulajhane waale
tu mujhe mere hi saaye se daraata kya hai

main tera kuchh bhi nahin huun magar itana to bata
dekh kar mujhako tere zahan mein aata kya hai

safar-e-shauq mein kyuun kaanpate hain paanv tere
duur se dekh ke ab haath hilaata kya hai

mar gaye pyaas ke maare to utha abr-e-karam
bujh gayi bazm to ab shamma jalaata kya hai

Ek Lamha Maykade

HASEEN LAMHE (ALBUM)


ek lamha maykade mein jo ham log aa gaye
kuch baat-cheet kar gaye kutch hans-hans gaye

ab isamein apni surat-e-raana na dekhiye
ab dil ke aaine mein kahi baar aa gaye

dam le ke ek lamha chale jaayenge faqeer
sunke tumhaare kuld ki taareef aa gaye

kitne haseen log the jo mil ke ek baar
aankhon mein jazb ho gaye dil mein sama gaye

Followers