Tuesday, December 30, 2008

Ek Lamha Maikade

ALBUM:GHAZALS



ek lamha maykade mein jo hum log aa gaye
kuch baat-cheet kar gaye kuch hans-hans gaye

ab is mein apni surat-e-raana na dekhiye
ab dil ke aaine mein kahi baar aa gaye

dam le ke ek lamha chale jaayenge faqeer
sunke tumhaare kuld ki taareef aa gaye

kitne haseen log the jo mil ke ek baar
aankhon mein jazb ho gaye dil mein sama gaye

0 comments:

Followers