Tuesday, December 30, 2008

Zakm-E-Tanhaayi Mein Khusboo-E-Hina Kiski Thi

ALBUM:ENCHANTING HOUR



zakm-e-tanhaayi mein khushboo-e-hina kiski thi
saaya diwaar pe mera tha sada kiski thi

aansuon se hi sahi bhar gaya daaman mera
haath to maine uthaaye the duwa kiski thi

meri aahon ki zabaan koyi samajhata kaise
zindagi itani dukhi mere siva kisaki thi

chhod di kiske liye tune ' muzaffar' duniya
justazu si tujhe har waqt bata kisaki thi

usaki raftaar mein lipti rahin meri aankhein
usne mudh kar bhi na dekha ki wafa kiski thi

waqt ki tarah dabe paanv ye kaun aaya hai
main andhera jise samajha wo qaba kiski thi

aag se dosti uski thi jala ghar mera
di gayi kisko saza aur kata kiski thi

maine binaayiyaan bokar bhi andhere kaate
kiske bas mein thi zamin aab-o-hawa kiski thi

0 comments:

Followers