Tuesday, December 30, 2008

Kehte Hain Mujhse Ishq Ka Afasana Chaahiye

ALBUM:ENCHANTING HOUR


kehte hain mujhse ishq ka afasana chahiye
rusvaayi ho gayi tumhein sharmana chahiye

khuddaar itani fitarat-e-rindaana chahiye
saaqi ye kud kahe tujhe paimaana chahiye

aashiq bagair husn-o-jawaani fuzuul hai
jab shamma jal gayi hai to parawana chahiye

aankhon mein dam ruka hai kisi ke liye zurur
warana mariz-e-hijr ko mar jaana chahiye

vaada tha unke raat ke aane ka ai ' qamar'
ab chaand chhup gaya unhein aa jaana chahiye

0 comments:

Followers