Tuesday, December 30, 2008

Jinke Honthon Pe Hansi Paanv Mein Chhaale Honge

HASEEN LAMHEN 5 (ALBUM)



kya bemurawwat kalq hai sab jama hain bismil ke paas
tanha mera qaatil raha koyi nahin qaatil ke paas

jinke honthon pe hansi paanv mein chhaale honge
haan wohi log tumhein dhuundhane waale honge

haan wohi log tujhe chaahne waale honge
andaaz apne dekhate hain aayine mein wo
aur ye bhi dekhte hain koyi dekhta na ho

may barasati hai fazaaon pe nasha taari hai
mere saaqi ne kahin jaam uchhaale honge

unse mafahuum-e-gham-e-zist ada ho shaayad
ashq jo daaman-e-mijagaan ne sambhaale honge

shamma le aaye hain ham jalwaagah-e-jaanaan se
ab do aalam mein ujaale hi ujaale honge

hum bade naaz se aaye the teri mehafil mein
kya khabar thi lab-e-izahaar pr taale honge

0 comments:

Followers