Tuesday, December 30, 2008

Jahaan Talak Bhi Ye Sahara

SAADGI - ALBUM


jahaan talak bhi ye sahara dikhayi deta hai
meri hi tarah se akela dikhayi deta hai

na itni tez chale sarphiri hawa se kaho
shajar pe ek hi patta dikhaai deta hai

ye ek abr ka tukda kahaan kahaan barse
tamaam dasht hi pyaasa dikhaai deta hai

wo alvida ka manzar wo chhalakti palaken
pas-e-gubaar bhi kya kya dikhayi deta hai

0 comments:

Followers