Tuesday, December 30, 2008

Dil Apna Maykashi Ka Talabgaar Bhi Nahin

KALAAM-E-MOHABBAT (ALBUM)


Dil Apna Maykashi Ka Talabgaar Bhi Nahin
Haan Wo Agar Pilaayein To Inkaar Bhi Nahin

Ahad-E-Wafa Ki Subaho Ka Kya Zikr Dosto
Ahad-E-Wafa Ki Subaho Ke Aasaar Bhi Nahin

Suna Pada Hai Der Se Mayakhaanaa-E-Wafa
Saaqi Ka Zikr Kya Koyi Mayakaar Bhi Nahin

Gulashan Ujaad Ho Gaya Duniya Badal Gayi
Kya Dhundhte Ho Gul Ke Yahaan Kaar Bhi Nahin

Darshan Na Poochho Zulmat-E-Duniyaa-E-Aashiqi
Koyi Charaag Ab To Sar-E-Daar Bhi Nahin

0 comments:

Followers