Tuesday, December 30, 2008

Thi Wasl Mein Bhi Fikr-E-Judaayi Tamaam Shab

HASEEN LAMHEN 5 (ALBUM)


thi wasl mein bhi fikr-e-judaayi tamaam shab
wo aaye bhi to neend na aayi tamaam shab

yak baar dekhte hi mujhe gash jo aa gaya
bhoole the wo bhi hosh-rubaayi tamaam shab

mar jaate kuun na subaho ke hote hi hijr mein
takalif kaisi kaisi uthaayi tamaam shab

garm-e-jawaab-e-shikawaa-e-jaur-e-udu raha
us sholaa-bu ne jaan jalaayi tamaam shab

' momin' main apane naalon ke sadaqe ke kahate hain
unako bhi aaj nind na aayi tamaam shab

0 comments:

Followers