Tuesday, December 30, 2008

Gungunati Hai Hawa Phool Khile Deep Jale

KALAAM-E-MOHABBAT (ALBUM)


Gungunati Hai Hawa Phool Khile Deep Jale
Hans Padi Raat Mahekte Huye Aanchal Ke Tale

Yun Tamannaayein Chamak Uthati Hain Dil Mein Jaise
Chehra-E-Waqt Pe Rah Rah Ke Koyi Haath Male

Bach Ke Taaron Ki Nigaahon Se Gulon Se Chhup Kar
Do Nigaahon Ki Mulakaat Huyi Raat Dhale

Rang-O-Kushboo Se Chhalakane Laga Mayakaanaa-E-Dil
Saaqiya Jaam Chale Jaam Chale Jaam Chale

Aaj Darshan Naye Andaaz Se Hai Garm-E-Nava
Uski Aawaaz Se Nagmon Ke Nay Deep Jale

Dil Apna Maykashi Ka Talabgaar Bhi Nahin

KALAAM-E-MOHABBAT (ALBUM)


Dil Apna Maykashi Ka Talabgaar Bhi Nahin
Haan Wo Agar Pilaayein To Inkaar Bhi Nahin

Ahad-E-Wafa Ki Subaho Ka Kya Zikr Dosto
Ahad-E-Wafa Ki Subaho Ke Aasaar Bhi Nahin

Suna Pada Hai Der Se Mayakhaanaa-E-Wafa
Saaqi Ka Zikr Kya Koyi Mayakaar Bhi Nahin

Gulashan Ujaad Ho Gaya Duniya Badal Gayi
Kya Dhundhte Ho Gul Ke Yahaan Kaar Bhi Nahin

Darshan Na Poochho Zulmat-E-Duniyaa-E-Aashiqi
Koyi Charaag Ab To Sar-E-Daar Bhi Nahin

Daulat Mili Jahaan Ki Naam-O-Nishaan Mile

KALAAM-E-MOHABBAT (ALBUM)


Daulat Mili Jahaan Ki Naam-O-Nishaan Mile
Sab Kuchh Mila Humein Na Magar Meharbaan Mile

Humako Khushi Mili Bhi To Bas Aarizi Mili
Lekin Jo Gham Mile Wo Gam-E-Jaawidaan Mile

Phir Kyun Kare Talaash Koyi Aur Aastaan
Wo Kushanasib Jisko Tera Aasataan Mile

Nazarein Talaash Karti Rahin Jinko Umr Bhar
Darshan Ko Wo Sukun Ke Lamhe Kahaan Mile

Poochhta Ja Mere Marakaz Se Guzarne Waale

Poochhta Ja Mere Marakaz Se Guzarne Waale
Kya Guzarti Hai Teri Jaan Pe Marne Waale

Yahi Iqaraar Yahi Kaul Yahi Waada Tha
O Dagaabaaz Har Ek Baar Muqarne Waale

Aap Mahashar Mein Bane Kaul Ke Sachche Kya Khoob
Ungaliyaan Utthengi Wo Haay Muqarane Waale

Daag Kehte Hain Jinhein Dekhiye Wo Baithe Hain
Aapki Jaan Pe Har Raat Ke Marne Waale

Yaadon Ki Baaraat Chali Hai

GHULAM ALI (ALBUM)


Yaadon Ki Baaraat Chali Hai
Aa Bhi Jaao Raat Chali Hai

Zabt Ka Daaman Chhuta Aise
Aankhon Se Barasaat Chali Hai

Kehate Hain Phir Laut Na Aana
Kuchh To Aage Baat Chali Hai

Wo Jis Raste Se Bhi Guzare
Saari Duniya Saath Chali Hai

Kaash Wo Aur Abhi Ruk Jaayein
Baat Adhuri Raat Chali Hai

Haal Kisse Bayaan Karein Dil Ka

HASEEN LAMHEN 5 (ALBUM)


haal kisse bayaan karein dil ka
mehar meraaj hi nahin milta

koh-e-barfin pe dhoop ka aalam
aab-zu mein kanwal nazzaara

lab pe afasun nazar mein afasaane
dilruba jism soch mein duuba

gaaliri khoobsurati ke na git
har sadaf mein gauhar nahin hata

Thi Wasl Mein Bhi Fikr-E-Judaayi Tamaam Shab

HASEEN LAMHEN 5 (ALBUM)


thi wasl mein bhi fikr-e-judaayi tamaam shab
wo aaye bhi to neend na aayi tamaam shab

yak baar dekhte hi mujhe gash jo aa gaya
bhoole the wo bhi hosh-rubaayi tamaam shab

mar jaate kuun na subaho ke hote hi hijr mein
takalif kaisi kaisi uthaayi tamaam shab

garm-e-jawaab-e-shikawaa-e-jaur-e-udu raha
us sholaa-bu ne jaan jalaayi tamaam shab

' momin' main apane naalon ke sadaqe ke kahate hain
unako bhi aaj nind na aayi tamaam shab

Followers