Monday, December 29, 2008

Na Jaane Kab Wo Palat Aaye

SAADGI - ALBUM



na jaane kab wo palat aayen dar khula rakhna
gaye huwon ke liye dil mein kuch jagah rakhna

hazaar talk hon yaaden magar wo jab bhi milen
zubaan pe achchhe dinon ka hi zaayaka rakhna

na ho ke kurb hi phir marg-e-rabt ban jaaye
mile agar to zara usase faasala rakhna

utaar phaink de kush-fahamiyon ke saare gilaaf
jo shaks bhool gaya usako yaad kya rakhna

0 comments:

Followers